Wednesday, July 9, 2008

shaayari

Tumne bulaya hi nahin ki hum sun nahin paaye...

yeh jindagi guzar jayegi is khayaal mein...


Dil jab bhi roya tujhe yaad karke

Tassali di humne phir tujhe yaad karke


Teri ek aawaaz ko hain itna takrse

Ki sannate gunjte hain aur mehfilen khaamosh hain



Kissi panne ke kinare likhe mere lawz, kamzeen honge 


Dega koi awaz unko ek din, yakin hai much wo ek din sangeen honge 





Uska chera  is kadar aaknkon pe chaya tha 


Hum aaine mein Apna chehara dekna bhool gaye

 

Humne ek aasmani pari se muhobbat ki


Zameeen pe khade hain, yeh magar bhool gaye 


Dil toota hai, isme unki koi galti natin 


Hume tabiat se uchaala tha dil, woh pakdna bhool gaye 




Agar me ek nazm bhi like doon tera chera deka kar 


Mein meri muhobbat ko mukkamil samjhoonga

 

Waqt sab kha jayega, ek waqt aayega jab tera chehra dhoondla jayega


Magar jab hi yeh lawz hont pe aayega tu yaad aayega... tu yaad aayega









No comments:

Shayari/ Gazals

नज़र चुराते देखा उसे तो यकीं हुआ ,  वोह भी देखता है हमें   जल गयी बस्ती मेरी, धुआं उसके घर में भी है   थोड़ा काम ही  सही मगर,  वोह भी चाहता है...