Friday, June 28, 2024

Shayari/ Gazals



नज़र चुराते देखा उसे तो यकीं हुआ , वोह भी देखता है हमें  

जल गयी बस्ती मेरी, धुआं उसके घर में भी है  

थोड़ा काम ही  सही मगर, वोह भी चाहता है हमें


मुहोब्बत के कुछ छींटें ही काफी है बसाने को बस्ती मेरी 

बंजर ज़मीन है दिल मेरा बारिश की मुझे आदत नहीं ॥


इस बस्ती में हैं दोस्त कई मेहरबान कई  

राहघर भी हैं, महफ़िल भी, मेह्खाने भी कई 

सोचता हूँ बस जाऊं यहाँ मगर  

 मिला नहीं इधर मुझे मेरा आशियाँ कहीं  


कुछ देर से दर्द में यार बैठे हैं  

तेरे ज़हर के गिरफ्त में यार बैठे हैं  

बच जायेंगे जो कर लेते दवा मगर  

तेरे मर्ज़ को मरहम मान यार बैठे हैं  


ख्वाब हो ख्वाब ही रहो  

हकीकत अक्सर हैरान कर देती है हमें  

जी लेंगे हम इस हसीं ख्वाब के सहारे  

हकीकत बन के आज़माओ न हमें 


एक ज़माना था जब मोहोबत में इंकार से डरते थे  

दिल टूट जाने के ख़याल से डरते थे  

और अब एक दौर है की हम इकरार से डरते हैं 

कहीं दिल लग  न जाए इस ख्याल से डरते हैं  


क्या शिकवा  करें की दुआ कबूल नहीं हुई हमारी 

जिनको इल्म भी नहीं हमारे होने का, उनको खुदा हम कर चले  


किताबों में पढ़ी थी दर्द-ऐ-मुहोब्बत 

तुझे देखा तो यकीं हुआ यह दर्द सच्चा है 

अब कुछ और ही मज़ा बात है सुनने-पढ़ने में दास्ताँ-ऐ-मुहोब्बत 

हर ग़ज़ल में घुला तेरा ख़याल अच्छा है 


 इस मुहोब्बत का मुस्तकबिल जानता हूँ मगर 

 तेरे मिलने का ख्याल अच्छा है  

अगर तू पूछेगी भी तो मुकर जाऊंगा में मगर  

ईशार-ऐ-मुहोब्बत का ख़याल अच्छा है  


इस बात का गम रहेगा की उनसे यह कह भी न पाएंगे  

की येह कलाम उनके नज़र था  

वह न होते तो येह एहसास-ऐ-अलफ़ाज़ भी न होते  

वोह मालिक था और उनको इल्म भी न था  


धड़कनों को  थामना सीख गए  

हम उनसे नज़रें मिलाना सीख गए


इन्तेकाम में जलते को मोहोब्बत हो नहीं सकता  

जो जुल्म को हाफ़िज़ मन बैठा है उसे मरहम हो नहीं सकता  


उसे जाना तो जाना दर्द में है

मजलूम एक जालिम के गिरफ्त में है 

वोह अपने ही दिल के सताये हुए हैं  

वह अपने ही साये से खौफ खाये हुए हैं  


न तू मिला न खुदा मिला...हमें कोई अपना न मिला 

न ज़मीन मिली न आस्मां मिला...हमें कोई आशियाँ न मिला  


नहीं जानते तेरी आरज़ू कब तक रहेगी  

नहीं जानते मेरी शायरी कब तक रहेगी 

मैं राहू न रहूँ, तू रहे न रहे  

अल्फ़ाज़ों में कैद येह कहानी क़यामत तक रहेंगी  


Agar paane ke ummeed se pyaar na karo 

to woh pyaar bahut pyaara hai 

jahan umeed nahin wahan naummeedi bhi nahin 

bas ruh-e-ehsaas ka sahaara hai 


Tu dard mein hai yeh mein jaanta hoon 

magar mein tera marhaam ban nahin sakta 

Muhobbat se jale ko kaise dein muhobbat 

Hakim kya kare uska jo dawa se jala ho 


`Tu meri pehli asli muhobbat hai 

maine isse pehle bas parchaiyon se pyaar kiya hai 

Koi parde pe dikha to koi sapnon mein 

Tu meri pehli haqueeqat hai 


Main use bas uski shakl se jaanta hoon 

Uski haseen se ...Uski aankhon ke nami se janta hoon 

Jannta hoon yeh kafi nahin hai 

Jaanta hoon yeh jism ki kashish hai

woh phir bhi mere rooh ke itne kareeb kaise aa gaye 

nahin jaanta hoon 


Mere dil ke aaine mein tujme koi aib nahin 

chahta hoon tujhe aur dekhoon

aur parkhoon aur jaanoon 

magar darta hoon kuch galat na dikh jaaye 

Tere tasveer mein rang kam hai lekin

Mere man mandir ke liye kaafi hai 


Tera hona jaroori hai, saath hona nahin 

tu meri mohobbat ki rooh hai 

In alfaazon ka maquam hai 

Tu hai to inka vajood hai varna yeh kuch bhi nahin 


Agar tujhe maquam man loon to har raasta tujh tak hoga 

Agar tujhe aashiyaan man loon to har raasta tujh se hoga 

magar tujhe agar khuda maan loon 

to tu hi manzil tu hi aashiyaan hoga 

rahebhar bhi tu raheghar bhi tu ..tu hi raasta hoga 


Lagta hai ab sailaab aayega 

magar yeh baarish, sukhe mein mangi aayat hai 

boond boond ke liye tarse hain hum 

doob ke mar rahe hain... raahat hai 


Jab tak humare raste ek hain

saath chalna chaahta hoon 

Jis mod bichdenge shaayad phir kabhi na mil paayenge 

Jo thoda waqt saath hai use khona nahin chaahta hoon


woh khudko jala kar bhi usko jalana chaahta hai 

woh apne dil ke kaatil se intequaam lena chahta hai 

Jodega kaise woh apna toota dil 

woh apne dil ke tukdon ka auzaar banana chaahta hai 


Woh muhobbat muqqamil nahin jisme kudrat ka nizam nahin 

agar ishq na ho donon taraf barabar 

samjho shamma patanga ka joda hai

Shamma ko ilm bhi na hona hai aur patanga jal ke mar jaan hai 


Jo tu khwaab tha yakeen tha 

Jo tu haqeeqat hai shaq hai 

khwabon sa haseen ho koi... suna hai 

khwabon se pare magar kisne dekha hai 


Khud ko mehsoos karne ke liye kisi aur ka hona jaroori hai 

kya dayra keechoge khud ka agar koi aur na ho 


Jo tu hua.. to mujhe phir se.. mere hone ka ehsaas hua 

Jasbaat hua, alfaaz hua, aur yeh andaaz-e-bayaan hua 


Aukaat se jyada ki chaah meri fitrat hai 

mitti mein mil jaaoon tab bhi aasmaan hi takhoonga 


Use na paane ke gam me kalaam na kar 

Maayusi ke gard me khud ko youn jaayar na kar 

Aasman bhale kabhi chu na paye, tu khud ko ek minar to kar 


Tu reh reh ke yaad aati hai 

Kabhi teri aankheen.. to kabhi teri haseen nazar aati hai /

Kabhi tera chehra.. kabhi teri baaten yaad aati hain 

Kis taraf baithoon ab karne ko sajda

chaaron taraf bas tu hi tu nazar aati hai 


Kisi ko agar khuda maano to use khuda ke darje pe rakho 

Dil me rakho aur aasmaan me rakho 

Itne kareeb ki har pal tere saath ho 

Aur itne door ki woh tere ruh ki har fariyaad ho 


maana ki woh aasmaani hai .. tu khud ko ek uunchi immarat to kar 

maango to khuda bhi mil jaata hai ... tu shiddat se uski ibaadat to kar 


Jisee main pyaar nahin karta... uske bhi aansoon dekh nahin sakta 

Jo tere aansoo dekh liye .... Jeena muskil ho jayega 


Roz apne aib ginta hoon .. Dil ko yeh samjahane ko 

ki yeh mohobbat kisi khata se kam nahin hai

Kambakht jisko dil de baitha hai langoor 

Woh koi hoor se kam nahin hai 


Uske aankhon ki nami karti hai uske chere ko roshan 

Jaise ashkon mein angaare sulge hue hain

Woh hasta hai to bhi hasta hai aise

Jaise dil mein koi sailab samete hue hain


Jindagi ka itna tazoorba ho gaya 

Magar masoom mohobbat ki aadat nahin gayi 

Jaante hain chera rooh ka aaina nahin hai lekin

Haseen cheron se dilagi ki aadat nahin gayi 


Na woh waqt mera tha na woh yaaden hi meri thi 

barhaal waqt ke daaman se churaye hain maine kuch pal

jhoote hi sahi...khwab sajane ke liye woh kaafi hain


Bas gin kar reh gaye hain din tere deed ke 

Dua hai... tu aaye har roz barhaal 


Mana bahut sunsaan hai yeh dagar 

Woh saath ho to kuch aasaan ho yeh safar 

magar yeh waqt nahin usko awaaz dene ka

Woh bhi khud ko dhoond raha hai..tu bhi khud ko dhoond raha hai 


woh mustaqbil nahin humara hum jaante hain

apni kismat ko hum khub pechante hain 

Na chaahna unhe magar bas main nahin humare 

hum apni kudrat ko khub jaante hain  


Main agar unse itna bhi keh doon ki yeh saare kalaam unke nazar the

toh mein apni mohobbat ko mukkamil samjhoonga 

Pate pe pahunci khali chihi bhi kuch keh jaati hai

Gumnaam gazal magar kisi mehfil mein bik jaati hai 


Na tu hi manzil ko pahuncha na main

raaste mil gaye aur aashiyaan ban gaya


Mumkin hain hum doobaara kabhi na mile 

Mile to bhi milen aise jaise ajnabi mile 

Phir bhi umr bhar rahega intezaar tujhse milne ka 

Aur dua ki tu jab bhi mile... muskuraate hue mile


Kuch din reh gaye hain unke deed ke baaki

Umr bhar ki judai se pehle

Humne dekh rakhe hain woh mayoos manjar 

Wohi daur tha unke aane se pehle 


chaate hain tujhe chaahna chod dein 

ek pathar se dil ka aaina tod dein 

Jisme ubharti hai teri tasveer ruk ruk ke 

Khwabon mein youn ghar bassana chode dein 


Jaante the ki woh humara na tha 

Masoom dil ko magar aur koi gawara na tha 

Khwaab aur haqeeqat mein fark samjhte hain hum magar 

Khwaabon ke bagair humara guzara na tha 


kaagaz pe lawzon ke ambaar laga rakhnen hain

Ek baat ko kehne ke sau andaaz bana rakhe hain 

Magar aasaan nahin hai ikraare-e mohobbat 

Inkaar ke dar se sab chupa rakhen hain 


Woh aaya nahin aaj bhi barhaal

 humne aankhen bicha rakha hai 

Lagi nahin hai aag dono taraf baraabar 

Udhar dhoaan bhi nahin aur idhar sab jala rakha hai 


Aaisa koi to kissa hoga jisme woh humara hoga 

bada bemel hai yeh mel magar koi to raasta hoga 

khwaabon ke sahaare bhi jee lenge marar 

woh haqeeqat hoga to kya majra hoga


Main ghalib nahin ki mera likha duniya padhe 

Mere lawzon ke haisiyat se mere jasbaat mat tol dena 

Aansoo mera bhi khaara hai aur mehboob mera bhi pyaara hai 

toote dil ko bas in lawzon ka sahaara hai 


Ek aur baar dekh le jee bhar ke usko 

Jindagi dobara mauka de na de 

Waqt mita dega wajood mera ek din... fikar nahin

Kya karen jatan ki tabtak... mite nahin uski tasveer jahan se


Tum mile to kyon lag raha hai jindagi mil gayi 

Hum jinda to the tumse milne se pehle 


Dekhe hain unke sau khwab magar 

Ek haqeeat se hum waqif hain 

Woh mera khwab hai magar 

Main unka khwab nahin


Unse bichadne ka waqt aa gaya hai 

Jindagi ka woh mod aa gaya hai

Jo kuch pal saath mila inaayat hai 

Dil ko pathar karne ka waqt aa gaya hai


Woh ek hassen khwaab hai jaanta hoon 

Khwaab aur haqeeqat mein fark bhi jaanta hoon

Haqeeqat mein jeena sufil hai magar 

Unke khwaab ke bin jeena... main nahin jaanta hoon 


Jindagi bhar yeh malaal na rahe ki unse keh bhi na paye 

Mana ki haar tay hai lekin tum lad bhi na paye 


Woh na hua to kya hua 

Muqammil kuch gazal to hua 

Bina dard ke kis shayar ne lika hai

Woh na hua to kya hua...uska dard to hua 


Ek sira pakdega to dusra chootega hi 

dil kisi ka to yahaan tootega hi

Sab ko khush nahin rakh sakta tu Samay 

koi to yahan roothega hi 


halaat jo bhi ho mushkilaat jo bhi ho

unke deed ka ek aur mauka innayat se kam nahi

yon to sanjo rakhen hain dil mein sau rang unke 

darten hain phir bhi yaaden phiki na pad jayen unki 


Jab tak mera dil yon tadapta rahega 

Kambakht kuch to likta rahega 

Kabhi sochta hoon ki ruswa hi rahe meri mohobbat 

Kuch ho na ho kissa to rahega 


Akele pad gaye hain lekin

akelepan ki aadat nahin padi hai 

Likh lete hain kuch unhe yaad karke 

khyalon mein unse guftagoo ki aadat pad gayi hai 


Woh mehboob nahin meharmaan hai mera 

Aks uska wajdaan hai mera 

Kuch waqt hi bitaye usne mere kuche main 

Mehkta hai magar hardum gulistaan mera 


Tere dil mein tarashe murat mein

 koi aib nahin koi mail nahin 

Mat bhool magar woh insaan hai

jaahir hai woh itna bhi taahir nahin 

Aise bhi kisi ka tassawur na kar 

Haqeeqat se jiska koi mel nahin 


Jab jab use yaad karke us meethe se dard ko sanjote hain 

sach kaho to hum bas wahin jeete hain aur bas wahin marte hain 








Shayari/ Gazals

नज़र चुराते देखा उसे तो यकीं हुआ ,  वोह भी देखता है हमें   जल गयी बस्ती मेरी, धुआं उसके घर में भी है   थोड़ा काम ही  सही मगर,  वोह भी चाहता है...